Friday, July 23, 2010

BACHPAN KA ZAMANA HOTA THA,
Khushiyo ka khzana hota tha,
Chahat chaand ko pane ki,
Dil titli ka diwana hota tha,
Khabar na thi kuch subah ki,
...Na shamo ka thikana hota tha,
Thak-haar ke school se aana,
Per khelne bhi jana hota tha,

Dadi ki kahani hoti thi
Pariyo ka fsana hota tha,
Barish me kagaz ki kashti thi,
Har mausam suhana hota tha,
Har khel me sathi hote the,
...Har rishta nibhana hota tha,

Papa ki wo dant galti par,
Mummy ka manana hota tha,
Gam ki juban na hoti thi,
Na jakhmo ka paimana hota tha,
Rone ki wajah na hoti thi,
Na hasne ka bahana hota tha,

Ab nahin rahi wo zindgi.
JAISA BACHPAN KA ZAMANA HOTA THA

No comments:

Post a Comment